Itna laachaar to main
kabhi nahi tha,
ye tadpan badti hai,
uske khyalo mein aate hi,
kuch kaante jaisi chubhti hai suiyaan,
unse bichad jaate hi,
dard pehle b sahe they maine
par itna dard kabhi nai tha.......
itna laachaar main
kabhi nai tha,

aakhein nam si rehti hain,
ek nasha sa rehta hai,
akela ho jata hun uske bina,
sirf uska ehsaas hi rehta hai,
sharab b ye na kar pai ab tak
tanhai mein b pehle tanha itna na tha.......
itna laachaar main
kabhi nai tha,
Woh fir ek pyaar ka chota pal de k gai,
woh fir mujhe apna bana k gai,
akele rehna ab nai bhaata,
woh kuch aisa mujhse leh k gai,
Ab ho gaya hai uska yeh dil
jo pehle kisi ka na tha.....
Itna laachaar main kabhi nai tha...
(Amit chopra)