Wakt ka charkha aaj fir din se Raat kar Gaya.
Kehna Kya chahta hu, bus khud se shikayat hai,
Ya kaho k napunsakta ki dastak hai,
Duniya Balatkar kar k khud ko sher samajh rahi hai,
Ya aurat ne Durga ka roop Lena band kar diya hai,
Samaaj zulmi Ho Gaya hai ya zulm hi samaaj hai,
Jaha apni Bahan shayad apni hai, dusre ki koi ijjat nai,
Ye Kya Dharam k naam pe kuritya nibha rahe hain,
Main jaat ka ye main jaat ka wo bus ye shabd taandav macha rahein hain,
Roti pet mein daal do, Sab kutte ban k bhokna shuru,
Jaha desh ki dharti maa aawaaz ijjat bachao ki lagati Ho,
Waha maa bahano ki ijjat se khilwaad Karte hasi manate hain,
Bhaaad mein Gaye Granth saare insaaniyat ki to kadr Karte nai,
Jaanwaro se bure haalaat hain hamare,
Is shareer ko b keechad ya gandh se rangte thakte nai.
Wah re dharmo aur ritiyo k daata, paida karna band kar sabko maar de,
Ye aawaaz hai un bechari dukhiyo ki, jinka choose liya khoon inhone,
Maa, Beti, Bahan, aadi naam kyo rakh Diye inko ek hi naam sunai padta hai,
Apni maa b bik jaaye to koi aansu nai gire Inka,
Hawas bhari aankhe nooch lein unko b,
Agar Bhagwan bani mata b dharti pe aaaye jo,
Na paida Ho ye Mard zaat aurat zaat ki ghinoni soch,
Insaan hi paida Ho dimag mein prem aaaye jo,
Jodu main haath paru main charan Sab k,
K ijjat Karo aurat zaat ki, acha do minute jee k har koi mar jaaye,
Keedein gandgi k na panpe bheetar Mann k,
Hum Sab ek hain, hum Sab insaan hain seekhein sabak ye...
Kuch ache karam kar k main garb se aankhein moondh k Hamesha k Liye so Gaya.
Jai hind jai Bharat
No comments:
Post a Comment